Posted in Uncategorized

Meri tanhayi……….

Na jane kyun, aj ye dil udas sa hai…..
Pata nahi kyun, par thoda pareshaan sa hai…..
Maine socha kya hua? kyun ye bechain sa hai…….
Maine pucha bhi isse, par ye thoda hairaan sa hai……

Maine dil ki gahrayi me utarne ki koshsh ki,
Kuch yadon par jami dhul ki parten bhi hatayi,
Tab jakar ek baat samajh me aayi,
Ye kuch aur nahi, bas hai meri tanhayi………

Is zindagi ki bhaga daudi me,
Bhid se aage nikalne ki rassa kassi me,
Kuch bhul raha tha mai,
Kuch kho raha tha mai………….

Main fir bhi khush hun, par dil me ek baat khatakti hai,
Kuch aur nahi ye teri yaad hi to hai, jo is dil me basti hai,
Kuch aur nahi ye teri yaad hi to hai, jo is dil me basti hai………………………….