Posted in Uncategorized

Request

Kyun  mujhse naraj hote ho, Kyun udas rahakar khud ko kasht dete ho|
Kahin logon ko pata na chale isliye, Chehre pe jhuti muskaan rakhte ho||
Ek- ek pal bhari lagta hai, Na kuch accha lagta hai|
Kuch nahin bhata hamko,  kewal ekant hi sathi hota hai||
Fir yahin par dimag hamara, apna role nibhata hai|
Gujre huye kal par, apne ghode daudata hai||
Kyun mai tumse milta tha, kyun tumse batein karta tha|
Kyun tumko shamil main apne, har sacche jhute me karta tha||
Kabhi-kabhi lagta hai aisa, ham khub samajhte ek duje ko|
Fir agle hi pal, sab kuch jhuta lagta hai||
Ab sab khatm ho gaya, ham koi baat nahi karenge|
Aham (igo) hamara hamse, ye nirnay  karwata hai||
Tang aa gaya mai is nautanki se, dil kuch aisa kehta hai|
Kewal ek insaan ke na bolne se, kya koi fark padta hai||
Fir bhi dil me ek tiis si uthti hai, sab kuch soona lagta hai|
Us ek ki muskaan ke bina, har khushi, veerana lagta hai||
Nahin rah sakte uske bina, wo ban chuki hamari aadat|
Nigal krodh ka ghoont antatah, use manana padta hai||
Uski ek muskaan se fir, lagne sab accha lagta hai|
Ab fir se naraj na hona, ANAND ko isse behad fark padta hai||
Posted in Uncategorized

Republic Day and Me in Varanasi :)

wo banaras ki subah,
wo suhana mausam,
wo gantantra diwas ka din,
wo sadko par bacchon ki railiyan,
wo assi ghat ki chai,
samne bahti ganga,
usme naukawon ki katar,
wo patangon ki udaan,
sath me umesh aur akash shaan,
IP Vijya me prem ka intejaar,
wo agneepath ka 1.30 ka show,
wo Kancha ki lanka,
wo Rauf laala ka surma,
wo sanjay dutt ka sanwaad “tune to rawan se uski lanka hi mang li”,
wo Vijay  ka AGNEEPATH,
almost ek movie lazawab,
fir bahar pakaude ki dukan,
wo umesh ka kisi ko milne ka wada,
bas aisa hi tha aj ka mera pura din,
is din ke har pal me ek nasha tha,
jis nashe me mai khona chahta hun,
shayed ye din dobara na aayenge,
isliye is college life ke har ek din ko,
mai khul ke jeena chahta hun.
Posted in Uncategorized

उम्मीद

बस इसी उम्मीद में मैं तेरी राह देख रहा हूँ…………..
कि लोग कहते हैं कि सब्र का फल मीठा होता है!!!!!!!!!!!!!!!!!!
Posted in Uncategorized

TUM MERE HO…………………!

Ye kya ho raha hai mujhko?
Man itna vichlit kyun hai?
Itni ashanti kyun hai?
Hriday me ye dwanda  kaisa hai?
Ye to bilkul waise hi hai,
Jaise kisi shant se talab me,
Kisi ne patthar fenka ho
Jiski tarangein kinare tak to jati hain,
Magar inka silsila khatm nahi hota|
Main ek thahraw chahta hun,
Ek shanti,
Ek santulan aur
Kuch khali samay|
Kisi khas mudde par
thoda vichar karna chahta hun|
tabhi dil ke kone se ek awaz aati hai,
ANAND! Ye kya hua tumko?
Tum to aise na the!
Tumhein in chijon ki jarurat kab se padne lagi?
Iska koi jawab nahi hai mere paas!
Kyun?
Shayed is kyun ka jawab “tum” ho!
Tum kyun aaye mere jivan me?
Kyun mere dil aur dimag dono par chaye rahte ho?
Kyun meri aankhein bheed me kewal tumhe hi dhundti hain?
Kyun har waqt tumhara hansta hua chehra mere samne rahta hai?
Kyun mai tumhe is duniya se churana chahta hun?
Kyun mai har waqt tumhari hi batein sunna chahta hun?
Kyun mai nahi chahta ki tumse koi aur baat kare?
Kyun mujhe tumse ladne aur fir manane me maja aata hai?
Mujhe nahi pata ye sab,
Mai bas tumhe pana chahta hun|
Tumhara aawran (cover) banna chahta hun|
Tumhe duniya se bachana chahta hun|
Bilkul waise hi,
Jaise seep me moti|
Tum bhi usi moti jaise ho,
amulya aur durlabh|
Lekin sochta hun ki,
mera tum par kya haq hai?
Kahin koi tumhe mujhse cheen na le,
Jaise moti ko uske seep se|
Main tumse kewal itna hi chahta hun ki,

“Mere in sawalon ka jawab de do, hamare is rishte ko ek naam de do|
Tum mere ho, keh sakun is duniya se, ratti sa mujhe ye haq de do|”