Posted in Uncategorized

Idiot Dil

aisa kyun hota hai?

kyun neenden udti hain, kyun chain khota hai?
kyun ye dil har waqt, kisi ek k bare me hi sochta hai?
mai puchta hun khud se, aisa kyun hota hai?

ek ajib si uljhan hoti hai, dil bekrar sa hota hai,
jab bhi aankhe band hoti hain, samne ek chehra hota hai,
main….fir puchta hun khud se, aisa kyun hota hai?

main to sidha sadha tha, apni duniya me mast tha,
fir aisa kyun hua, kya ye sabko hota hai?
main fir sochta hun, aakhir aisa kyun hota hai?

aisa kya hai usme, jo auron me nahi?
kyun ye dil mera, uski taraf hi khinchta hai?
kya is prashn ka,  koi hal hota hai?

main is sabse bachta tha, logon par hansta tha,
pyar mohabbat hai bewkufi, isse mai chidhta tha,
par ab ye mere sath ho raha hai……………………

isme aisa kya hota hai , jo dil kisi k khyalon me khota hai?
tabhi is prashn ka , ek hal milta hai,

“aisa isliye hota hai, kyunki dil ko dimag nahi hota hai.”