Posted in Uncategorized

Tum kya ho?

Tum kya ho?

Shant baithe-baithe chehre pe jo muskaan aa jaye,
Wo muskaan ho tum!
Tumse milne ko jitney bahane dhundta hun mai,
Un bahanon ka bahana ho tum!
Tumhein dekhkar meri nazron ko jo sukoon milta hai,
Wo sukoon ho tum!
Jis chehre ko mai har waqt dekhna chahta hun,
Wo chehra ho tum!
Jin lamhon ko mai hamesha saja k rakhna chahta hun,
Wo lamha ho tum!
Mujhko lubhati hain jo adayein,
Wo ada ho tum!
Jiske liye logon se maine sau (100) jhuth bole hain,
Wo jhuth ho tum!
Mere mobile k msg tone k baad mere jehan me jo naam sabse pahle aata hai,
wo naam ho tum!
Jiski calls ka intezaar mai din raat karta hun,
Wo intezaar ho tum!
Main majbur hun jis aadat se,
Wo aadat ho tum!
Jiski wajah se main bhid me bhi tanha mahsoos karta hun,
Wo tanhayi ho tum!
Kabhi-kabhi meri harkatein nadan si hoti hai,
Meri wo nadani ho tum!
Jis sparsh ki anubhuti mai karna chahta hun,
Shayed wo sparsh ho tum!
Agar ye sab galat hai to,
Meri bewkufi ho tum!
Aur agar ye hi pyar hai,
To shayed mera pyar ho tum……….
To shayed mera pyar ho tum!

Author:

Writer, cook, blogger, and photographer...... yesssss okkkkkk I am an Engineer too :)👨‍🎓 M.tech in machine and drives. 🖥 I love machines, they run the world. Specialist in linear induction machine. Alumni of IIT BHU, Varanasi. I love Varanasi. Kashi nahi to main bhi nahi. Published two poetry book - Darpan and Hamsafar. 📚 Part of thre anthologies- Axile of thoughts, Aath dham assi and Endless shore. 📖 Pursuing MA Hindi (literature). ✍️ Living in lucknow. Native of Ayodhya. anunaadak.com, anandkanaujiya.blogspot.com

2 thoughts on “Tum kya ho?

Leave a Reply